Musakhel: Deputy DHO Dr Nadir Essot ka tehsil Kingri mein 16 roza Hifazati Teeka Jat muhim ka muaina

Musakhel: Deputy District Health Officer Dr Nadir Essot ne tehsil Kingri ki mukhtalif union councils ka tafseeli daura kiya, is moqe par IHHN ke District Coordinator Mujeeb-ur-Rehman bhi un ke hamrah the. Daure ke dauran Ghorwandi, Rara Shum aur Kot Khan Muhammad ka muaina kiya gaya.
Daure ka bunyadi maqsad jari 16 roza IOA sargarmiyon ka jaiza lena aur field mein jari Hifazati Teeka Jat ki sargarmiyon ki nigrani karna tha. Muaine ke dauran field mein mojood vaccinators ki hazri check ki gayi aur un ke paas mojood registers, session plan, vaccination record aur deegar mutalliqa dastawezat ka jaiza liya gaya taake kaam ki pesh raft aur record ki durustgi yaqeeni banayi ja sake.
Inkari walidain se mulaqat, vaccination par razamandi
Baad azan Dr Nadir Essot ne mukhtalif gharon ka daura kiya aur un walidain se mulaqat ki jinhon ne pehle apne bachon ko hifazati teeke lagwane se inkar kiya tha. Unhein Hifazati Teeka Jat ki ahmiyat, bachon ko mukhtalif jaan leva bimariyon se mehfooz rakhne aur waqt par vaccination ke fawaid se agah kiya gaya, jis ke baad walidain ne itminan ka izhar kiya aur apne bachon ki vaccination par razamandi zahir ki.
Deputy District Health Officer ne ghar ghar ja kar bachon ki vaccination ka follow up bhi liya taake koi bacha hifazati teekon se mehroom na reh jaye. Unhon ne vaccinators ko hidayat ki ke woh apne ilaqon mein har bachche tak rasai yaqeeni banayen, reh jane wale bachon ko fori taur par cover karen aur tamam sargarmiyon ka record waqt par mukammal karen.
Daure ke ikhtitam par Dr Nadir Essot ne tamam vaccinators ko field mein apni hazri aur har ghar tak rasai yaqeeni banane ki hidayat ki. Unhon ne kaha ke reh jane wale defaulter aur refusal bachon par khusoosi tawajjo di jaye, walidain se moassir rabta rakha jaye aur unhein Hifazati Teeka Jat ki ahmiyat se musalsal agah kiya jaye.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











