رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Maulana Hidayat ur Rehman ki SSP Gwadar se mulaqat; Pishkan ke musallah giroohon aur manshiyat ke khilaf karrawai par zor

Maulana Hidayat ur Rehman ki SSP Gwadar se mulaqat; Pishkan ke musallah giroohon aur manshiyat ke khilaf karrawai par zor
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Gwadar: Rukn Soobai Assembly Gwadar Maulana Hidayat ur Rehman Baloch ne SSP Gwadar Ataur Rehman se mulaqat mein aman o aman, manshiyat ke khatme aur awami tahaffuz se mutaliq umoor par baat cheet ki, jabke WAPDA hukkam se bijli ke masail ke fori hal aur Model High School ke daure mein taleemi sahuliyat ki behtari par zor diya.

SSP se mulaqat mein unhon ne Pishkan mein mubayyina musallah giroohon aur jaraim pesha anasir ke khilaf qanoon ke mutabiq mouassar karrawai aur zila bhar mein manshiyat ke khilaf bila imtiaz operation tez karne par zor diya. Levies force ke police mein inzimam ke dauran ghair hazir rehne wale aur baad azan bartaraf ahlkaron ke muamlat ka qanoon o zabte ke mutabiq jaiza lene par bhi baat hui.

WAPDA hukkam se mulaqat mein rukn assembly ne zila Gwadar ke mukhtalif ilaqon mein khasta haal bijli ki taron ki tabdeeli, naye transformers ki farahmi o tansib aur bijli ke masail ke fori hal par zor diya.

Baad azan unhon ne Government Model High School Gwadar ka daura kar ke class rooms aur taleemi sargarmiyon ka jaiza liya aur school ground ki behtari ke mutalibe par kaam jald shuru karane ki yaqeen dehani karayi. Maulana Hidayat ur Rehman Baloch ne kaha ke aman o aman, taleem, bijli aur awami sahuliyat ki behtari un ki tarjihat hain aur is ke liye mutaliqa idaron se mouassar rabta jari rakha jayega.

Gwadar: Rukn Soobai Assembly Maulana Hidayat ur Rehman Baloch XEN WAPDA se Gwadar mein bijli ki load shedding aur deegar mutaliqa umoor par tabadla-e-khayal kar rahe hain
Gwadar: Rukn Soobai Assembly Maulana Hidayat ur Rehman Baloch XEN WAPDA se Gwadar mein bijli ki load shedding aur deegar mutaliqa umoor par tabadla-e-khayal kar rahe hain

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Mauzuaat: