رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Maulana Hidayat ur Rehman ka PPHI daftar Gwadar ka daura, ghair faal hospitalon ki bahali par zor

Maulana Hidayat ur Rehman ka PPHI daftar Gwadar ka daura, ghair faal hospitalon ki bahali par zor
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Gwadar: Rukn-e-subai assembly Maulana Hidayat ur Rehman Baloch ne Peoples Primary Healthcare Initiative (PPHI) ke zilai daftar Gwadar ka daura kiya aur zilai manager Dr Munir Ahmed Baloch se mulaqat mein zila Gwadar ke ghair faal hospitalon ki bahali, doctors o tibbi amle ki taynati aur bunyadi tibbi sahuliyat ki faraahmi par tafseeli tabadla-e-khayal kiya.

Maulana Hidayat ur Rehman Baloch ne kaha ke door daraz ilaqon ke logon ko un ki dehleez par Sehat ki bunyadi sahuliyat faraham ki jayen. Unhon ne ghair hazir doctors aur tibbi amle ke khilaf bila imtiaz mahkamana karrawai aur hospitalon mein amle ki hazri yaqeeni banane par zor diya.

Dr Munir Ahmed Baloch ne yaqeen dehani karai ke hospitalon ki bahali, doctors ki taynati aur zaroori tibbi sahuliyat ke liye mooassir iqdamat kiye jayenge. Maulana Hidayat ur Rehman ne kaha ke behtar tibbi sahuliyat ke liye mutalliqa idaron se rabta aur pairvi jari rakhi jayegi.

Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan

Mauzuaat: