رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Mashkel ta Nokundi 104 kilometre shahrah das saal baad bhi namukammal, awam ko mushkilat

Mashkel: Mashkel se Nokundi tak 104 kilometre taweel aham shahrah das saal se zaid arsa guzarne ke bawajood mukammal na ho saki, jis ke baais Mashkel ke awam ko amad-o-raft mein shadeed mushkilat ka samna hai.

Mutaliqa mehkame ki jaanib se sarak ka 80 feesad kaam mukammal hone ka daawa kiya ja raha hai. Taham maqami awam ke mutabiq zameeni surat-e-haal in daawon se mutabiqat nahin rakhti aur sarak ki adam takmeel ke baais shehriyon ki mushkilat badastoor barqarar hain.

Mashkel ta Nokundi road ilaqe ki aham tareen shahraahon mein shumar hoti hai. Yeh na sirf awam ki amad-o-raft balkeh tijarati sargarmiyon, mareezon ki muntaqili, talba aur deegar zaroori safari sahuliyat ke liye bhi intihai ahmiyat rakhti hai. Mansube ki takmeel mein taweel takheer ne ilaqe ke awam ko mayoosi se dochar kar diya hai.

Maqami logon ka kehna hai ke sarak ki tameer ka mansooba guzishta kai barson se zer-e-iltawa hai, magar taha-hal ise mukammal karke awam ke liye qabil-e-istemal nahin banaya ja saka.

Sarak ki namukammal tameer ke baais musafiron ko taweel safar, dushwar guzar raston aur izafi akhrajat jaisi mushkilat ka samna karna padta hai. Hangami halaat mein mareezon ko ilaj ke liye doosre ilaqon tak pohanchana bhi aik bara masla ban jata hai.

Awami halqon ne 80 feesad kaam mukammal hone ke daawe par sawalat uthate hue mutalba kiya hai ke mansube ki asal surat-e-haal awam ke samne layi jaye aur bataya jaye ke guzishta das saal se zaid arse ke dauran mansooba mukammal kyon nahin ho saka.

Ilaqe ke logon ne hukumat Balochistan, mutaliqa mehkame aur aala hukkam se mutalba kiya hai ke Mashkel ta Nokundi 104 kilometre road ki tameer mein hael rukawatein fori door ki jayen, mansube ke liye zaroori funds ki faraahmi yaqeeni banayi jaye aur tameerati kaam ki moasir nigrani karte hue sarak ko jald az jald mukammal kiya jaye.

Un ka kehna hai ke yeh shahrah mahaz aik sarak nahin balkeh taraqqi, tijarat, Sehat aur bunyadi safari sahuliyat tak rasai ka aham zariya hai. Hukumat ko chahiye ke woh is dairina masle ko tarjihi bunyadon par hal karke awam ko mazeed mushkilat se nijat dilaye.

Mauzuaat: