Khuzdar: Mir Younus Aziz Zehri ka wafd ke hamrah SP Muhammad Jan Baloch se Aman o Aman par tabadla-e-khayal
Khuzdar: Qaid-e-hizb-e-ikhtilaf Balochistan Assembly o MPA Khuzdar Mir Jhalawan Mir Younus Aziz Zehri ne apne wafd ke hamrah SP Khuzdar ke daftar ka daura kiya, jahan unhon ne SP Khuzdar Muhammad Jan Baloch se mulaqat ki.
Mulaqat mein MPA Khuzdar Mir Younus Aziz Zehri ke hamrah Anjuman-e-Tajiran Sadar Bazar Hafiz Hamidullah Mengal, Abdul Salam Mengal aur Engineer Younus Ramzan Musiyani bhi mojood the.
Is mauqe par Khuzdar mein Aman o Aman ki surat-e-haal, awam ke jan o mal ke tahaffuz aur ilaqe mein aman ke qayam se mutaliq mukhtalif umoor par tafseeli tabadla-e-khayal kiya gaya.
Mulaqat ke dauran is baat par zor diya gaya ke awam ke tahaffuz ko yaqeeni banane, shehriyon ko darpesh masail ke hal aur shehar mein Aman o Aman ki surat-e-haal ko mazeed behtar banane ke liye moassir iqdamat uthana chahiye. Is silsile mein mutaliqa idaron ke darmiyan bahmi rabte aur taawun ki ahmiyat par bhi tabadla-e-khayal kiya gaya.
Mir Jhalawan Mir Younus Aziz Zehri ka kehna tha ke Khuzdar mein Aman o Aman ka qayam aur awam ko mehfooz mahaul ki faraahmi awwalin tarjihat mein shamil honi chahiye, taake shehri bila khauf o khatar apni rozmarra zindagi aur karobari sargarmiyon ko jari rakh saken.
Is mauqe par National Party ke senior rahnuma aur sabiq mayor Khuzdar Mir Abdul Rahim Kurd samet deegar shakhsiyat bhi mojood thin.











