رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 9° Saaf 22° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Kharan ke qareeb Commissioner Rakhshan Division Asadullah Kakar driver samet aghwa, cashier reha

Quetta: Balochistan ke zila Kharan ke qareeb namaloom musallah afraad ne Commissioner Rakhshan Division Asadullah Kakar ko driver samet aghwa kar liya hai. Waqia Nushki-Kharan road par isi maqam ke qareeb pesh aaya jahan guzishta mah Deputy Commissioner Kharan ko aghwa kiya gaya tha.

Kharan ki zilai intizamia ke aik senior ohde dar aur Kharan police ke aik afsar ne naam zahir na karne ki shart par aik ghair mulki nashriati idare se baat karte hue waqiye ki tasdeeq ki. Soobai hukumat ne tahaal na waqiye ki bazabta tasdeeq ki hai aur na hi koi bayan jari kiya hai.

Waqia kaise pesh aaya

Police afsar ke mutabiq Jumeraat ko Asadullah Kakar apne driver aur cashier ke hamrah zaati gaari mein security squad ke baghair Quetta se Kharan ja rahe the. Kharan se taqriban 35 se 40 kilometre pehle thana Patkin ki hudood mein Barshonki ke maqam par musallah afraad ne aslahe ke zor par un ki gaari rok li.

Police afsar ne bataya ke musallah afraad ne teenon afraad ko yarghamal banaya, taham baad mein cashier Haji Qasim ko chhor diya. Commissioner aur driver ko gaari samet pahadon ki jaanib le gaye. Rehai ke baad Haji Qasim ne police aur mutaliqa hukkam ko waqiye ki ittila di. Aghwa ki zimmedari tahaal kisi tanzeem ne qabool nahin ki.

Kharan intizamia ke aik afsar ke mutabiq Aman o Aman ki kharab soorat-e-haal aur khadshat ke baais Commissioner police ahalkaron ya squad ke baghair, sarkari ke bajaye zaati gaari mein safar kar rahe the taake un ki shanakht aur safar khufia rahe. Afsar ne bataya ke woh safar ke dauran aik sarkari afsar se rabte mein the, magar Nushki se Kharan ki jaanib nikalne ke baad rabta munqata ho gaya.

Haalia mahinon ke dauran musallah giroh Nushki-Kharan road samet soobe ki mukhtalif shahrahon par nakabandi karte rahe hain. Un ki tadad aksar darjanon mein hoti hai aur woh pahadon par ghaat lagaye baithe hote hain. Sarkari afsar ke baqaul squad ke chand ahalkar aisi soorat-e-haal mein muqable ki position mein nahin hote, is liye beshtar afsaran protocol ke baghair nijji gaadiyon mein khud ko numayan kiye baghair safar ko tarjeeh dete hain.

Asadullah Kakar aur Rakhshan Division

Asadullah Kakar Balochistan Civil Services group ke grade 19 ke afsar hain. Unhein rawan saal August mein Commissioner Rakhshan Division muqarrar kiya gaya tha. Is se qabl woh Kharan mein Deputy Commissioner ke taur par bhi khidmaat anjam de chuke hain.

Rakhshan Division Nushki, Chagai, Kharan aur Washuk ke Azla par mushtamil hai aur raqbe ke lihaz se soobe ka sab se bada division samjha jata hai.

Deputy Commissioner Kharan ka aghwa

Is se sirf 25 din qabl 20 September ko Kharan ke Deputy Commissioner Munir Ahmed Soomro aur un ke teen sathiyon ko bhi isi maqam se namaloom musallah afraad ne aghwa kiya tha. Unhein taqriban barah din baad chhor diya gaya. Is waqiye ki zimmedari bhi kisi tanzeem ne qabool nahin ki thi.

Ghair musaddaqa ittilaat ke mutabiq un ki rehai ke liye tawan talab kiya gaya tha. Hukumat ne rehai ke liye qabaili satah par bhi koshishein ki thin, taham rehai kaise amal mein aayi, yeh maloom nahin ho saka.

Barshonki aur Patkin Nushki aur Kharan ke darmiyan waqe ilaqe hain jo Parood aur Lije ke pahadi silsilon ke qareeb hain. Security zaraye ke mutabiq Deputy Commissioner Kharan ko aghwa ke baad isi ilaqe mein le gaye the. Is baar bhi khadsha zahir kiya ja raha hai ke Commissioner ko inhi pahadi silsilon ki taraf le jaya gaya hai.

Wazir-e-aala Balochistan Sarfraz Bugti ne kaha tha ke 1970 ki dahai mein qaim hone ke baad se is pahadi silsile mein kalaadam tanzeemon ke camp kabhi khatam nahin hue. Unhon ne paanch September ko Balochistan Assembly ke ijlas mein Shorparood ka zikr karte hue aise pahadi ilaqon se maqami abadi ko nikal kar operation karne ka indiya bhi diya tha.

Kharan ki soorat-e-haal

Kharan Quetta se junoob maghrib ki jaanib taqriban 280 kilometre ke fasle par waqe hai. Is ki sarhadein Nushki, Chagai, Washuk aur Kalat samet kai Azla se milti hain. Yeh zila shorish aur badamni se mutasira soobe ke hassas Azla mein shumar hota hai.

Rawan saal January mein Kharan shehar par aik bada hamla hua tha, jis mein police station aur kai bank nishana bane. August mein namaloom musallah afraad ne shehar mein dakhil ho kar thanon ko aag laga di thi.

Civil afsaran par mazi ke hamle

Balochistan mein civil intizamia ke afsaran ko pehle bhi nishana banaya ja chuka hai. August 2024 mein Deputy Commissioner Panjgur Zakir Hussain Baloch ko Mastung ke qareeb nakabandi par na rukne par musallah afraad ne firing kar ke qatl kar diya tha.

May 2025 mein zila Surab mein shiddat pasandon ke hamle mein Additional Deputy Commissioner Hidayatullah Bulaidi halak hue.

June 2025 mein Kech ke Assistant Commissioner Muhammad Hanif Noorzai ko aghwa kiya gaya. Zimmedari kalaadam Baloch Liberation Front ne qabool ki aur woh taqriban saadhe teen mah baad reha hue.

August 2025 mein Ziarat ke Assistant Commissioner Muhammad Afzal Baqi ko bete samet aghwa kiya gaya. Beta baad mein bazyab ho gaya, magar maloom hua ke Assistant Commissioner ko qatl kar diya gaya. Un ki naash tahaal nahin mili.

January 2026 mein kalaadam BLA ki jaanib se 10 se zaid shehron par marboot hamlon ke dauran Nushki ke Deputy Commissioner Muhammad Hussain Hazara aur Assistant Commissioner Maria Shamoon ko aghwa kiya gaya, taham unhein baad mein reha kar diya gaya.

Mauzuaat: