Jafarabad: Deputy Commissioner Khalid Khan ki zere sadarat Revenue ijlas, zamindaron se sarkari wajibat ki wasooli tez karne ki hidayat

Jafarabad: Deputy Commissioner Jafarabad Khalid Khan ki zere sadarat Revenue Department ka aham ijlas munaqid hua, jis mein Assistant Commissioner, tehsildaron, naib tehsildaron, qanungoz aur deegar mutaliqa afsaran ne shirkat ki.
Ijlas ke dauran Revenue Department ke afsaran ne sarkari wajibat ki wasooli se mutaliq fardan fardan briefing di.
Is mauqe par Deputy Commissioner Khalid Khan ne hidayat ki ke sarkari wajibat ki wasooli har surat yaqini banayi jaye aur jin zamindaron par sarkari wajibat tahadam wajib-ul-ada hain, un se baqayajat ki wasooli ke amal ko mazeed mu’assar aur tez kiya jaye takay muqarrara ahdaf ba-waqt hasil kiye ja saken.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











