رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Haji Noor Muhammad Dummar ki zer-e-sadarat Ziarat Valley Development Authority governing body ka teesra ijlas, siyahat ke farogh par ghaur

Haji Noor Muhammad Dummar ki zer-e-sadarat Ziarat Valley Development Authority governing body ka teesra ijlas, siyahat ke farogh par ghaur
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Soobai wazir Commodity Management Department o chairman Balochistan Food Authority Haji Noor Muhammad Dummar ki zer-e-sadarat Ziarat Valley Development Authority (ZVDA) ki governing body ka teesra ijlas mehkama mansooba bandi o taraqqiyat ke committee room mein munaqid hua, jis mein governing body ke arakeen aur mutaliqa hukkam ne shirkat ki.

Ijlas mein authority se mutaliq mukhtalif aham umoor, ilaqe ki taraqqi, siyahat ke farogh, bunyadi dhanche ki behtari aur awam ko behtar sahuliyat ki faraahmi par tafseeli ghaur o khauz kiya gaya.

Haji Noor Muhammad Dummar ne kaha ke Ziarat Balochistan ka aham siyahati aur qudrati husn se maala maal ilaqa hai, jis ki taraqqi aur khoobsurti barqarar rakhte hue siyahon aur maqami abadi ko behtareen sahuliyat ki faraahmi hukumat ki tarjihaat mein shamil hai. Ziarat Valley Development Authority ke zariye ilaqe ki mansooba bandi aur paidar taraqqi ke liye moassir iqdamat uthaye jayenge.

Unhon ne mutaliqa hukkam par zor diya ke Ziarat ki taraqqi se mutaliq mansoobon mein miyar, shaffafiyat aur awami mufad ko muqaddam rakha jaye aur taraqqiyati iqdamat ko muqarrara muddat mein mukammal karne ke liye moassir hikmat-e-amali apnayi jaye.

Ijlas mein Ziarat ke taraqqiyati umoor aur authority ke mustaqbil ke laiha-e-amal par bhi ghaur kiya gaya, jabke mutaliqa hukkam ne mukhtalif muamlat par soobai wazir ko briefing di. Soobai wazir ne kaha ke Ziarat ki taraqqi na sirf maqami abadi balke Balochistan mein siyahat ke farogh ke liye bhi intihai aham hai, aur hukumat Ziarat ko mazeed taraqqi yafta aur siyah dost banane ke liye amali iqdamat jari rakhegi.

Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan