رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 18° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Haji Ali Madad Jattak se Ashraf Dar ki qiyadat mein PPP Azad Kashmir ke wafd ki mulaqat, intikhabi hikmat-e-amli par ghaur

Haji Ali Madad Jattak se Ashraf Dar ki qiyadat mein PPP Azad Kashmir ke wafd ki mulaqat, intikhabi hikmat-e-amli par ghaur
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Pakistan PPP ke markazi rehnuma o soobai wazir Haji Ali Madad Jattak se Pakistan PPP Azad Jammu o Kashmir ke senior rehnuma Ashraf Dar ki qiyadat mein ek wafd ne mulaqat ki, jis mein Azad Jammu o Kashmir ke aayinda intikhabat, party ki intikhabi hikmat-e-amli aur tanzeemi umoor par tafseeli tabadla-e-khayal kiya gaya.

Mulaqat ke dauran donon rehnumaon ne Azad Jammu o Kashmir mein Pakistan PPP ki siyasi sargarmiyon, awami rabta muhim, karkunon ki tanzeem sazi aur intikhabi muhim ko mazeed mu’assir banane ke mukhtalif pehluon par ghaur kiya. Is mauqe par azm zahir kiya gaya ke party ke chairman ke vision aur awami khidmat ke manshoor ko ghar ghar pohanchaya jaye ga taake awam ka etemad mazeed mazboot ho.

Soobai wazir Haji Ali Madad Jattak ne kaha ke Pakistan PPP ek awami jamaat hai jo mulk bhar ki tarah Azad Jammu o Kashmir mein bhi awam ki khidmat, jamhooriyat ke istehkam aur taraqqi o khushhali ke agenda par yaqeen rakhti hai. Unhon ne wafd ko yaqeen dilaya ke Azad Jammu o Kashmir mein party ki kamyabi ke liye har mumkin taawun aur bharpoor siyasi o akhlaqi himayat faraham ki jaye gi.

Haji Ali Madad Jattak ne kaha ke party karkun hi Pakistan PPP ka asal sarmaya hain aur aayinda intikhabat mein karkunon ki mehnat, awami himayat aur party qiyadat ki mu’assir hikmat-e-amli se Pakistan PPP numayan kamyabi hasil kare gi.

Wafd ke sarbarah Ashraf Dar ne bharpoor taawun ki yaqeen dehani par Haji Ali Madad Jattak ka shukriya ada karte hue kaha ke party qiyadat ke vision ko awam tak pohanchane aur Azad Jammu o Kashmir mein Pakistan PPP ko mazeed mazboot banane ke liye tamam karkun muttahid ho kar bharpoor kirdar ada karen ge.

Mulaqat khushgawar mahaul mein hui, jis mein bahmi rabton ko mazeed mustahkam karne aur aayinda intikhabat ke hawale se mushtarka siyasi taawun jari rakhne par bhi ittefaq kiya gaya.

Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan