Gwadar Police mein 551 constable asamiyon par bharti: sahil-e-samandar par mard o khawateen umeedwaron ki daur

Gwadar: Hukumat Balochistan ki merit par mabni shaffaf bharti policy ke tahat Gwadar Police mein nayi bhartiyon ka amal jari hai. 551 constable asamiyon par bharti ke jismani test ke marhale mein aaj Gwadar ke sahil-e-samandar par umeedwaron ki daur karai gayi, jis mein mard o khawateen umeedwaron ki badi tadad ne hissa liya.
Umeedwaron ne muqarrara miyar ke mutabiq jismani azmaish mein apni fitness, raftar aur jismani salahiyaton ka bharpoor muzahira kiya, aur police force ka hissa banne ke liye un mein numayan josh o jazba dekhne mein aaya.
Bharti ke amal ko shaffaf, munazzam aur merit ke mutabiq yaqeeni banane ke liye DIG Crime Branch Quetta Hameed Khosa, SSP Gwadar Ataur Rehman Khan Tareen, AIG Welfare SP Tahir Mustafa, DSP Chakar Baloch aur 68 Wing FC ke Major Saad samet deegar afsaran mauqe par maujood rahe aur jismani test ki nigrani ki.
Hukkam ke mutabiq Gwadar Police mein bharti ke tamam marahil shaffafiyat, merit aur qawaid o zawabit ke tahat mukammal kiye ja rahe hain taake ahl aurba-salahiyat naujawanon ko force mein shamil kar ke awam ke jaan o maal ke tahaffuz ke liye ek muassir aur pesha war force ko mazeed mazboot banaya ja sake. Hukkam ne azm zahir kiya ke merit aur shaffafiyat har surat yaqeeni banai jayegi aur kisi umeedwar ke sath imtiyazi sulook nahin hoga.
Tasveer: bashukriya DG PR Balochistan











