رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 11° Saaf 21° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Gwadar mein pani ka mumkina bohran: Sod Dam dead level par, chairman GPA aur DG GDA ki mulaqat

Gwadar mein pani ka mumkina bohran: Sod Dam dead level par, chairman GPA aur DG GDA ki mulaqat
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Gwadar: Chairman Gwadar Port Authority Noor ul Haq Baloch ne Director General Gwadar Development Authority Moinur Rehman Khan se un ke daftar mein mulaqat ki, jis mein Gwadar shehr ko pani ki farahmi ke zarae, mojuda soorat-e-haal aur mustaqbil ke water management plan ka tafseeli jaiza liya gaya.

Mulaqat mein Gwadar ke markazi aabi zariye Sod Dam mein pani ki satah dead level tak pahunchne ke pesh-e-nazar aane wale mahinon mein mumkina qillat se nimatne ki hikmat-e-amli par baat hui. Noor ul Haq Baloch Gwadar mein wazir-e-aala Balochistan ki jaanib se coordinator bara-e-water and power crisis ki zimmedariyan bhi anjaam de rahe hain. Is moqe par chief engineer GDA Haji Syed Muhammad, project director water Mirjan Baloch aur deegar afsaran bhi mojood the.

Ijlas mein jaiza liya gaya ke agar aainda chand mah mein barishein na huin to mumkina bohran se nimatne ke liye peshgi iqdamat kiye jayen. Bataya gaya ke Sod Dam mein pani ki satah intehai kam ho chuki hai aur is waqt pumping ke zariye pani hasil kiya ja raha hai.

Desalination plant mukammal istedad par chalane par ittefaq

Mutabadil zariye ke taur par Shadi Kaur Dam se pani ki farahmi barha di gayi hai, jabke Chinese water desalination plant ko mukammal istedad-e-kaar ke sath chalane par bhi ittefaq kiya gaya aur is ke liye zaroori funds ki khatir soobai hukumat se rujoo karne ka faisla hua.

Chairman GPA ko bataya gaya ke is waqt Sod Dam aur Shadi Kaur Dam se mujmui taur par rozana taqriban 30 se 35 lakh gallon pani hasil kar ke shehr ko farahm kiya ja raha hai, shehr mein farahmi bila tatal jari hai aur pani ka koi bara masla darpesh nahin.

Taham ijlas mein zor diya gaya ke guzishta taqriban paune teen saal se khatir khwah barishein na hone ke baais aabi zakhair tezi se kam ho rahe hain. Rawan saal March ki barishon se Sod Dam mein jo pani jama hua tha woh ab taqriban khatam hone ke qareeb hai, is liye moassir aur peshgi water management hikmat-e-amli par amalderamad na guzeer hai.

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Mauzuaat: