رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 11° Saaf 21° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Gwadar: DEO (khawateen) Zaratoon Baloch ka sarkari girls schoolon ka daura, classrooms aur kitabon ki kami ki nishandahi

Gwadar: DEO (khawateen) Zaratoon Baloch ka sarkari girls schoolon ka daura, classrooms aur kitabon ki kami ki nishandahi
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Gwadar: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti ke taleemi islahat aur talba ko miyari o sazgar taleemi mahaul ki farahemi ke vision ke tahat District Education Officer (khawateen) Zaratoon Baloch ne mukhtalif sarkari girls schoolon ka daura kiya aur tadrisi sargarmiyon, bunyadi sahuliyat aur darpesh masail ka tafseeli jaiza liya.

Government Girls Primary School Kohmadi Ward mein classrooms ki kami ka jaiza liya gaya, jahan mehdood jagah ke baes ek se zaid jamaaton ki talibat ko ek hi kamre mein bithaya ja raha hai. School mein non-teaching staff ki adam dastiyabi ki bhi nishandahi ki gayi aur moawin amle ki farahemi ki zarurat par zor diya gaya.

Government Girls Middle School Senator Ishaq Ward mein asatiza tadrisi sargarmiyon mein masroof paye gaye, taham middle section ki talibat ko nisabi kutub ki adam dastiyabi ka samna hai, jis par mutalliqa hukkam ki tawajjoh mabzool karate hue kutub ki barwaqt farahemi yaqeeni banane par zor diya gaya.

Government Girls Middle School Ghatti Dor mein classrooms ki kami ke baes talibat ko school ke bahar khule mahaul mein parhne ki mushkilat ka jaiza liya gaya aur naye classrooms ki tameer tak arzi shed ya mutabadil jagah ki farahemi ko fori zarurat qarar diya gaya.

DEO ne school intezamia ko hidayat ki ke dastiyab wasail ko moassir andaz mein barooye kar la kar taleemi sargarmiyon ka tasalsul barqarar rakha jaye aur masail tarjeehi bunyadon par mutalliqa hukkam ke samne pesh kiye jayen. Hukumat Balochistan ki janib se taleemi idaron ki musalsal monitoring, bunyadi sahuliyat, asatiza o amle ki dastiyabi, nisabi kutub ki barwaqt farahemi aur school infrastructure ki behtari ke liye iqdamat jari hain, jin ka maqsad har bachche, bil-khusoos door daraz ilaqon ki talibat, ko mehfooz, bawaqar aur miyari taleemi mahaul faraham karna hai.

Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan

Mauzuaat: