رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 11° Saaf 21° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Gwadar: China Pakistan Girls High School Faqiri Colony mein science o art numaish 2026, talibat ke models ki pazirai

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Gwadar: China Pakistan Government Girls High School Faqiri Colony Gwadar mein talibat ki takhleeqi salahiyaton, science soch aur ikhtira-i istadad ko ujagar karne ke liye science o art numaish 2026 munaqid ki gayi, jis ka iftitah zilai officer Taleem Zahid Hussain Baloch aur siyasi o samaji shakhsiyat Mir Arshad Kalmati ne kiya.

Taqreeb mein mahakma Taleem ke afsaran, school ki head mistress Parveen Nawaz, deputy education officer Wahab Majeed, Muhammad Hasan, head master Tariq Mahmood o Nadal Ali, school coordinator Naseem Sher Muhammad, UNICEF ke zilai education support manager Adil Naudezai samet mukhtalif schoolon ke asatiza aur talibat ne shirkat ki.

Numaish mein talibat ne science models, tahqiqi mansoobon, jadeed o takhleeqi ideas, science tajurbaat aur fan paron ke zariye apni salahiyaton ka shandar mazahira kiya aur apne projects ke amali pehlu, tareeqa-e-kaar aur ifadiyat par shurka ko tafseeli briefing di, jise behad saraha gaya.

Shurka ne kaha ke aisi taleemi o takhleeqi sargarmiyan talibat mein tahqiq, takhleeq, jidat aur science tarz-e-fikr ko farogh deti hain, unhein mustaqbil ke challenges ke liye tayyar karti hain aur rawayati Taleem se aage barh kar apne khayalat ko amali shakl dene ka mauqa faraham karti hain.

Head mistress Parveen Nawaz aur coordinator Naseem Sher Muhammad ne kaha ke numaish ka maqsad naujawan zehnon mein seekhne, daryaft karne, tajurba karne aur naye ideas ko amali jama pehnane ki hausla afzai karna aur Pak China dosti ke jazbe ke tehat Taleem, jidat aur takhleeqi salahiyaton ke farogh ko taqwiyat dena hai. Shurka ne talibat ki mehnat aur asatiza ki rehnumai ko sarahte hue numaish ko taleemi maidan mein musbat aur hausla afza qadam qarar diya.

Gwadar: zilai officer Taleem Zahid Hussain Baloch, siyasi o samaji shakhsiyat Mir Arshad Kalmati o digar China Pakistan Government Girls High School Faqiri Colony mein science o art numaish 2026 ka daura aur muaina kar rahe hain

Tasweer: bashukriya DGPR Balochistan

Mauzuaat: