Governor raj achha faisla nahin, aakhri hadd par nahin jana chahte: Amir Muqam

Zahid Khan aur Samar Bilour ke hamrah press conference karte hue Amir Muqam ka kehna tha ke Khyber Pakhtunkhwa ko lawaris chhor wazir-e-aala KP one point agenda par kaam kar rahe hain, Khyber Pakhtunkhwa ke halat kashida hain, wazir-e-aala Khyber Pakhtunkhwa dharnon mein masroof hain.
Unhon ne kaha ke Khyber Pakhtunkhwa mein halat roz bar roz kharab ho rahe hain, wazir-e-aala Khyber Pakhtunkhwa do mah se kabhi Lahore kabhi Sindh mein ghoom rahe hain.
Wafaqi wazir ka kehna tha ke Khyber Pakhtunkhwa mein Dehshatgardi ho rahi hai, Khyber Pakhtunkhwa jal raha hai, koi bahar nahin nikal sakta, wahan awam mushkilat ka samna kar rahe hain, log apne azizon ki lashein utha rahe hain, Dehshatgardi ke mamle par aik page par hona chahiye.
Unhon ne mazeed kaha ke Khyber Pakhtunkhwa mein badunwani urooj par hai, wazir-e-aala apni zimmedariyan nahin nibha rahe, Khyber Pakhtunkhwa is waqt lawaris soba hai, Khyber Pakhtunkhwa hukumat ko awam ke masail ka ehsas karna chahiye.











