Governor Mandokhail se Liaquat Baloch ki mulaqat: Pakistan ka maashi mustaqbil Balochistan ke aman se jura hai

Quetta: Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhail ne kaha hai ke Balochistan ko darpesh pecheeda challenges sanjeeda iqdamat aur paidar hal ke mutaqazi hain, aur Pakistan ka maashi mustaqbil Balochistan ke aman, istehkam aur taraqqi se jura hua hai. Jis tarah aman ke baghair taraqqi parwan nahin charh sakti, isi tarah samaji insaf aur awami aitemad ke baghair aman qaim nahin reh sakta.
Unhon ne in khayalat ka izhar Jamaat-e-Islami Pakistan ke markazi naib ameer Liaquat Baloch aur soobai ameer o rukn soobai assembly Maulana Hidayat-ur-Rehman se Governor House Quetta mein guftagu karte hue kiya.
Policy sazi mein naujawanon ki shamooliyat zaroori
Governor Mandokhail ne kaha ke policy sazi aur faislah sazi ke amal mein naujawanon ki shamooliyat yaqeeni banana ashad zaroori hai taake har naujawan Pakistan ki taraqqi o khushhali mein faal sharakat dar bane. Unhon ne kaha ke roshan mustaqbil ki tameer ki pehli shart naujawanon ke asal kirdar ko pehchanna hai. Hamari kul abadi ka sab se bara hissa naujawanon par mushtamil hai jin ki tawanai aur takhleeqi salahiyatein hamari sab se bari taqat hain.
Governor ne kaha ke aaj halaat ka taqaza hai ke hum har qism ke zaati mufadat se balatar ho kar mulk o qaum ki taraqqi aur khushhali ke liye mil kar kaam karein. Siyasi rahnumaon, mazhabi scholars aur muashre ke bashaoor afraad ki zimmedari hai ke woh ijtimai mufadat ko ujagar karein, political dialogue ki hausla afzai karein, samaji hum ahangi ko mazboot karein aur qaum ki taraqqi mein amali o tameeri kirdar ada karein.
Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhail ne kaha ke hum mushtarka koshishon ke zariye aik pur aman, khushhal aur taraqqi yafta Balochistan ki tameer kar sakte hain.
Tasveer: bashukriya DG PR Balochistan











