رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 14° Saaf 21° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Governor Khyber Pakhtunkhwa Kundi: Wafaq ke saath chalein ge, gandum ki gumshudgi par inquiry shuru

Governor Khyber Pakhtunkhwa Kundi: Wafaq ke saath chalein ge, gandum ki gumshudgi par inquiry shuru
File photo: Governor Khyber Pakhtunkhwa Faisal Karim Kundi — Tasveer: Bashukriya app.com.pk

Peshawar: Governor Khyber Pakhtunkhwa Faisal Karim Kundi ka kehna hai ke wafaq ke saath chalein ge aur sab sooblon ke saath ek page par hon ge. Un ke mutabiq ab ikhtilafat nahin hon ge aur ek unit ke taur par kaam kiya jayega.

Peshawar mein media se guftagu karte hue unhon ne kaha ke poore soobe ko saaf suthra banane ka tahayya kar liya gaya hai aur safai o suthrai aur Tajawuzat ke khilaf operation ka aghaz Peshawar se kiya gaya hai.

Gandum aur taraqqiyati mansoobe

Faisal Karim Kundi ne kaha ke gandum ke hawale se inquiry shuru kar di gayi hai ke jo gandum hamein milni thi woh kaise ghayab ki gayi. Un ke mutabiq haqaiq samne laye jayein ge aur report jald jari hogi.

Un ka kehna tha ke ab sirf achhe taraqqiyati mansoobe hon ge. Yahan taraqqiyati kamon par chaar chaar mehkame bill banate the. Jo taraqqiyati mansooba mufeed na ho us par kaam nahin kiya jayega aur kisi ko paise khane nahin dein ge.

Traffic, bijli aur gas

Governor KP ne kaha ke traffic qawanin par meeting bulai gayi hai aur traffic nizam behtar banaya jayega. Traffic qawanin ban rahe hain, challan ki shikayat khatam ho jayegi aur baqaida cameras ki madad se nizam behtar kiya jayega.

Unhon ne kaha ke bijli ki barhti load shedding par WAPDA ke saath baithon ga. Bijli chori ka zamana bhi gaya, ab log bill dein ge. Un ke baqaul woh zamana gaya ke kaha jaye wafaq ziyadti kar raha hai, load shedding aur gas band kar raha hai. Bijli aur gas ka muamla jald hal hoga.