Governor Jaffar Khan Mandokhail ka sabiq senator Nasibullah Khan Bazai ke inteqal par izhar-e-taziyat

Quetta: Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhail ne sabiq senator Nasibullah Khan Bazai ke inteqal par gehre ranj aur afsos ka izhar kiya hai.
Apne taziyati bayan mein Governor Balochistan ne kaha ke marhoom Nasibullah Khan Bazai aik shareef-un-nafs aur ba-waqar insan the, jinhon ne awami khidmat ke maidan mein girankadar khidmat anjam dein jinhein tadeer yaad rakha jaye ga.
Governor ne marhoom ke darjat ki bulandi aur maghfirat ke liye dua karte hue kaha ke Allah Taala marhoom ko jawar-e-rehmat mein jagah ata farmaye aur sogwar khandan ko himmat aur sabr-e-jameel ata farmaye.
DG PR ki jari kardah tasweer mein Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhail ko Islamabad ke Shifa International Hospital mein senator Nasibullah Khan Bazai ki eyadat karte dekha ja sakta hai, jahan soobai wazir Mir Asim Kurd Gailo, senator Syed Ul Hasan Mandokhail aur MPA Zarak Khan Mandokhail bhi mojood the.
Tasweer: Bashukriya DG PR Balochistan











