رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhail se Jamal Raisani, Mir Ata Lango aur deegar shakhsiyat ki mulaqatein

Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhail se Jamal Raisani, Mir Ata Lango aur deegar shakhsiyat ki mulaqatein
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhail se mukhtalif siyasi, qabaili aur samaji shakhsiyat ne mulaqatein kin.

Governor Balochistan se mulaqat karne walon mein rukn National Assembly Nawabzada Jamal Raisani, parliamentary secretary Barkat Ali Rind, sadr High Court Bar Association advocate Mir Ata Lango, Mir Chakar Khan Rind University Sibi ke qaim maqam vice chancellor Professor Dr Mumtaz Ali Baloch, sabiq customs superintendent Rehmatullah Suleman Khel aur qabaili rahnuma Abdullah Khan Kakar aur Asrar Khan shamil the.

Wazir-e-azam ke coordinator bara-e-youth affairs Balochistan Haider Khan Achakzai ne Governor Jaffar Khan Mandokhail ko America ke kamyab daure par mubarakbad di.

Governor Balochistan ne sabiq soobai secretary Noor ul Haq Kakar ki wafat aur Dr Iqbal aur Shoaib Alam ki walida ki wafat par fatiha khwani bhi ki.

Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhail se sadr High Court Bar Association advocate Mir Ata Lango mulaqat kar rahe hain
Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhail se sadr High Court Bar Association advocate Mir Ata Lango mulaqat kar rahe hain
Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhail se parliamentary secretary Barkat Ali Rind mulaqat kar rahe hain
Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhail se parliamentary secretary Barkat Ali Rind mulaqat kar rahe hain
Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhail se qaim maqam vice chancellor Mir Chakar Khan Rind University Sibi Professor Dr Mumtaz Ali Baloch mulaqat kar rahe hain
Governor Balochistan Jaffar Khan Mandokhail se qaim maqam vice chancellor Mir Chakar Khan Rind University Sibi Professor Dr Mumtaz Ali Baloch mulaqat kar rahe hain

Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan