رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 21° Saaf 22° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid
Safha-e-Awwal› Balochistan ›Jhal Magsi

Gandawah water supply scheme: Deputy Commissioner Jhal Magsi Syed Rehmatullah Shah ka BSDI ke tahat overhead tank ka muayena

Gandawah water supply scheme: Deputy Commissioner Jhal Magsi Syed Rehmatullah Shah ka BSDI ke tahat overhead tank ka muayena
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Jhal Magsi: Deputy Commissioner Jhal Magsi Syed Rehmatullah Shah ne water supply scheme (WSS) Gandawah mein Balochistan Special Development Initiative (BSDI) Phase-I ke tahat jari taraqqiati kamon ka daura kiya aur mansube ke mukhtalif kamon ka tafseeli muayena karte hue majmooi pesh raft ka jaiza liya.

Briefing mein bataya gaya ke overhead water tank (OHWT) ki tameer aakhri marahil mein hai. Tank ki unchai ki tameer mukammal ho chuki hai aur atraf ki deewaron ke liye sarye ka dhancha bhi nasb kar diya gaya hai, tahum deewaron mein concrete bharne aur chhat ki tameer ka kaam baqi hai. Pani zakhira karne ki tansib, power house, boundary wall, solarization aur pipeline ki tansib o taqseem ke kaam mukammal ho chuke hain.

Hukkam ke mutabiq overhead water tank ka baqi kaam aainda 15 dinon mein mukammal hone ka qawi imkan hai. Deputy Commissioner ne hidayat ki ke baqi kaam muqarara muddat mein mukammal kiya jaye aur tameer mein miyar aur technical usoolon ko har soorat yaqeeni banaya jaye taake Gandawah ke shehri is mansube se mustafid ho saken.

Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan