DHQ Hospital Sevi mein BSDI ke tehat morchari ki tameer aur marble tiles ki tansib ke mansoobe

Sevi: Balochistan Special Development Initiative (BSDI) ke tehat mehkama CW&PP H ke zer-e-ehtemam DHQ Hospital Sevi mein do taraqqiyati mansoobon par tezi se kaam jari hai.
Executive Engineer Building CW&PP & H Department District Sevi ke SDO ki briefing ke mutabiq pehla mansooba hospital mein murda khana (morchari) ki tameer ka hai jis par 10.00 million rupay lagat aaye gi. Is ke tehat civil work ke sath 6 kilowatt solarization, inverter energy saver model 2.0 ke do air conditioners, do lithium batteries, ek electric motor, ek overhead tank aur teen ceiling fans nasb kiye jayenge.
Doosra mansooba hospital mein marble tiles ki faraahmi aur tansib ka hai, jis ki lagat 4.00 million rupay hai aur is ke tehat 7575 murabba fut raqbe par marble o tiles nasb kiye ja rahe hain.
Deputy Commissioner Sevi Major (r) Ilyas Kibzai aur Commandant Sevi Scouts Colonel Munir Ahmed Sultan ne mansoobon ka muaina kiya aur hidayat ki ke kaam ka miyar barqarar rakhte hue ise muqarrara muddat mein mukammal kiya jaye. Unhon ne kaha ke hukumat Balochistan Sevi mein Sehat ki sahuliyat ki behtari par khusoosi tawajjoh de rahi hai aur BSDI ke mansoobe ilaqe ke awam ke liye intehai sudmand sabit honge.
Mehkama ke hukkam ke mutabiq donon mansoobon ki takmeel se hospital mein tibbi sahuliyat aur bunyadi dhanchay mein numayan behtari aaye gi. Is mauqe par Assistant Commissioner Sevi Mir Bahadur Khan Bangulzai aur MS DHQ Dr Jahanzeb samet deegar afsaran bhi mojood the.



Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











