رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 22° Saaf 22° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Commissioner Sevi Division Irfanullah Khan ne charge sambhal liya, Commissioner Office ka muaina aur amle ko hidayat

Commissioner Sevi Division Irfanullah Khan ne charge sambhal liya, Commissioner Office ka muaina aur amle ko hidayat
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Sevi: Commissioner Sevi Division Irfanullah Khan ne apne ohde ka charge sambhalne ke baad Commissioner Office Sevi ka muaina kiya, daftar ke mukhtalif shobon, record aur daftari umoor ka jaiza liya aur amle se un ke faraiz aur jari umoor ke bare mein maloomat hasil kin.

Commissioner Irfanullah Khan ne daftari umoor mein nazm-o-zabt, record ki barwaqt takmeel aur awami muamlat ko tarjihi bunyadon par nimatane ki hidayat ki. Unhon ne kaha ke sarkari umoor ki anjam dehi mein shaffafiyat, merit aur awami sahulat ko khusoosi ahmiyat di jaye gi.

Commissioner Sevi Division Irfanullah Khan ne apne ohde ka charge sambhal kar faraiz mansabi ki adaigi ka aghaz kar diya hai
Commissioner Sevi Division Irfanullah Khan ne apne ohde ka charge sambhal kar faraiz mansabi ki adaigi ka aghaz kar diya hai
Commissioner Sevi Division Irfanullah Khan ne ohde ka charge sambhalne ke baad apne daftar ka muaina kiya aur mukhtalif shobon ka jaiza liya
Commissioner Sevi Division Irfanullah Khan ne ohde ka charge sambhalne ke baad apne daftar ka muaina kiya aur mukhtalif shobon ka jaiza liya

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan