Commissioner Loralai Wali Muhammad Barech se Pashtunkhwa National Awami Party ke wafd ki mulaqat, Aman o Aman par guftagu

Loralai: Commissioner Loralai Division Wali Muhammad Barech se Pashtunkhwa National Awami Party ke sadr Mustafa Kamal Kakar ne wafd ke hamrah mulaqat ki, jis mein Loralai mein Aman o Aman ki mujmui surat-e-haal, jaari taraqqiyati mansoobon aur awam ko darpesh bunyadi masail par tafseeli tabadla-e-khayal kiya gaya.
Wafd ne commissioner ko zila mein sehat, peene ke saaf pani, bijli ki farahemi aur deegar bunyadi sahuliyat se mutaliq awami mushkilat se aagah kiya, jabke shehar Loralai mein BSDI ke tahat jaari taraqqiyati mansoobon ki pesh raft, miyar aur barwaqt takmeel par bhi guftagu ki gayi. Wafd ne zilai intizamiya ki janib se awami masail ke hal, Aman o Aman ke qayam aur taraqqiyati sargarmiyon mein dilchaspi ko sarahte hue umeed zahir ki ke awami falah o behbood ke mansoobon par amalderamad mazeed tez kiya jayega.
Commissioner Wali Muhammad Barech ne wafd ko yaqeen dilaya ke zilai intizamiya awam ke jaan o maal ke tahaffuz, paidar aman ke qayam aur awami masail ke hal ko apni awwaleen tarjeehat mein shamil kiye hue hai. Unhon ne kaha ke Aman o Aman par kisi qism ka samjhauta nahin kiya jayega aur qanoon ki amaldari har surat yaqeeni banayi jayegi.
Commissioner ne kaha ke hukumat Balochistan awami falah o behbood ke mansoobon ki barwaqt takmeel ke liye amali iqdamat kar rahi hai aur taraqqiyati schemes mein shafafiyat, miyar aur awami zarooriyat ko awwaleen tarjeeh di ja rahi hai. Unhon ne wazeh kiya ke aainda bhi wohi mansoobe tarjeehi bunyadon par shamil kiye jayenge jin se awam ki badi tadad barah-e-raast mustafeed ho aur ilaqe ki mujmui taraqqi mein musbat kirdar ada ho.
Mulaqat ke ikhtitam par wafd ne intizamiya ke sath har mumkin taawun ki yaqeen dehani karayi, jabke commissioner ne kaha ke awami numaindepon, siyasi jamaaton aur zilai intizamiya ke bahami taawun se hi awam ko behtar sahuliyat ki farahemi aur paidar taraqqi ke ahdaf hasil kiye ja sakte hain.
Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan











