Chief Minister Sarfraz Bugti se Speaker Abdul Khaliq Achakzai, Nawabzada Hamza Zehri, Maulana Hidayat ur Rehman aur deegar ki mulaqatein

Quetta: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti se 28 August ko mukhtalif siyasi shakhsiyaat aur muntakhab numainDon ne mulaqatein kin.
Chief Minister se mulaqat karne walon mein Speaker Provincial Assembly Captain (retd) Abdul Khaliq Achakzai, provincial advisor Nawabzada Mir Hamza Khan Zehri, member Provincial Assembly Maulana Hidayat ur Rehman, Mir Jalal Malik Baloch, parliamentary secretary Mir Abdul Samad Gorgage, aur provincial minister Haji Noor Muhammad Dummar ke hamrah chairman Union Council Ziarat Muhammad Akbar Khan Kakar shamil the.



Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











