Chief Minister Sarfraz Bugti se Senator Ataur Rehman, arkan-e-National Assembly aur Sindh o Gilgit-Baltistan ke wuzara ki mulaqat

Quetta: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti se Jumerat ko rukn-e-aiwan-e-bala Senator Maulana Ataur Rehman, rukn National Assembly Dr Darshan Lal, rukn National Assembly Muhammad Idrees Khan, Sindh ke soobai wazir saqafat Syed Zulfiqar Ali Shah aur Gilgit-Baltistan ke soobai wazir Nasir Maqbool ne mulaqat ki.
Mulaqat mein bahmi dilchaspi ke umoor, siyasi o parliamentary muamalat aur soobon ke darmiyan rawabit o taawun samet mukhtalif umoor par tabadla-e-khayal kiya gaya, jabke mulk ki majmooi surat-e-haal aur mukhtalif shobon mein taawun ke farogh se mutaliq umoor bhi zer-e-ghaur aaye.
Chief Minister Mir Sarfraz Bugti ne kaha ke qaumi yakjehti, bain-us-soobai hum ahangi aur bahmi taawun ko farogh dena waqt ki aham zaroorat hai, aur Balochistan ki taraqqi aur awam ki falah o behbood ke liye tamam dastiyab wasail baroye kaar laye ja rahe hain.
Darein asna rukn soobai assembly Maulvi Noorullah ne bhi Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti se mulaqat ki.

Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan











