رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 14° Saaf 21° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Chief Minister Sarfraz Bugti se PPP Balochistan ke wafd ki mulaqat, Jinnah Peoples Train jald shuru karne ka elaan

Chief Minister Sarfraz Bugti se PPP Balochistan ke wafd ki mulaqat, Jinnah Peoples Train jald shuru karne ka elaan
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti se Pakistan PPP Balochistan ke soobai general secretary Rabbani Khan Kakar ki sarbarahi mein mukhtalif divisions aur Azla se talluq rakhne wale party ohdedaran aur rehnamaon ne mulaqat ki. Is moqe par soobai wazir taraqqiyat o mansooba bandi Mir Zahoor Ahmed Buledi bhi maujood the.

Mulaqat mein party umoor, tanzeemi mamlaat aur awam ko darpesh masail samet mukhtalif umoor par tafseeli tabadla-e-khayal kiya gaya. Party rehnamaon ne apne apne ilaqon mein awam ko darpesh masail aur zaruriyat se Chief Minister ko aagah kiya. Chief Minister ne wafd mein shamil rehnamaon ke masail aur tajaweez ghaur se sunin aur mufad-e-aamma se mutaliq mukhtalif umoor ki manzoori bhi di.

Chief Minister Balochistan ne kaha ke soobe ke awam ko behtar aur jadeed safri o tibbi sahuliyat ki faraahmi ke liye amali iqdamat jari hain. Benazir Bhutto Emergency Response Trauma Center, Peoples Air Ambulance, Peoples Green Bus aur Peoples Pink Bus service awam ko sahuliyat ki faraahmi ke liye faal hain.

Unhon ne kaha ke awam ko jadeed, mehfooz aur kam kharch safri sahulat ki faraahmi ke liye Jinnah Peoples Train service bhi bohat jald shuru kar di jayegi, jis se Quetta aur gird-o-nawah ke shehriyon ko safri sahulat muyassar aayegi.

Mir Sarfraz Bugti ne kaha ke PPP ki qiyadat aur karkunan awam se barah-e-raast rabte mein rehte hue un ke masail ki nishandahi aur hal ke liye apna kirdar ada kar rahe hain, aur awami masail ke hal aur bunyadi sahuliyat ki faraahmi ke liye hukumat Balochistan ke iqdamat ka silsila jari rahega. Mulaqat mein party ke deegar rehnamaon aur ohdedaran ne bhi apne ilaqon se mutaliq mukhtalif umoor par Chief Minister se guftagu ki.

Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti se Pakistan PPP ke soobai general secretary Rabbani Khan Kakar ki sarbarahi mein party wafd mulaqat kar raha hai
Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti se Pakistan PPP ke soobai general secretary Rabbani Khan Kakar ki sarbarahi mein party wafd mulaqat kar raha hai

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan