Chief Minister Sarfraz Bugti se Opposition Leader Younis Zehri, Masood Looni aur PPP rahnumaon ki mulaqatein

Quetta: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti se mangal ko mukhtalif siyasi shakhsiyat ne alag alag mulaqatein keen.
Opposition Leader Mir Muhammad Younis Khan Zehri, member sooba-i assembly Asghar Khan Tareen aur member National Assembly Mir Usman Badini ne Chief Minister se mulaqat ki.
Parliamentary Secretary Sardar Masood Khan Looni ne bhi Chief Minister Mir Sarfraz Bugti se mulaqat ki, jabke PPP ke general secretary Rabbani Khan Kakar aur Sardar Hanif Khan Musakhel bhi Chief Minister se mile.


Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











