Chief Minister Sarfraz Bugti se Hurriyat rehnuma Hassan Bana ki mulaqat, Kashmiriyon ki siyasi o safarti himayat jari rakhne ka azm

Quetta: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti se Kashmir All Parties Hurriyat Conference ke rehnuma Hassan Bana ne mulaqat ki, jis mein maqbooza Jammu o Kashmir ki taza surat-e-haal, Kashmiri awam ki jaddojehad-e-haq-e-khud iradiyat aur khitte ki majmooi surat-e-haal par tafseeli tabadla-e-khayal kiya gaya.
Hassan Bana ne Kashmiri awam se izhar-e-yakjehti aur masla-e-Kashmir ko har satah par ujagar karne ke hawale se hukumat Balochistan aur Chief Minister Mir Sarfraz Bugti ke moaqqaf aur iqdamat ko saraha.
Chief Minister Mir Sarfraz Bugti ne kaha ke masla-e-Kashmir Aqwam-e-Muttahida ki Security Council ki qarardadon ke mutabiq hal talab ek International tanaza hai, jis ka munsifana aur paedar hal Kashmiri awam ko un ka bunyadi haq, yani haq-e-khud iradiyat, faraham kiye baghair mumkin nahin.
Unhon ne kaha ke Pakistan aur Balochistan ke awam apne Kashmiri bhaiyon ke sath hamesha khade rahe hain aur mustaqbil mein bhi un ki har mumkin siyasi, safarti aur akhlaqi himayat jari rakhenge. Kashmiri awam ne bemisal qurbaniyan de kar azadi ki jaddojehad ko zinda rakha hai aur un ki yeh qurbaniyan raigan nahin jaengi.
Chief Minister ne aalmi biradari par zor diya ke woh maqbooza Jammu o Kashmir mein insani huqooq ki khilaf warziyon ka notice le aur Kashmiri awam ko Aqwam-e-Muttahida ki qarardadon ke mutabiq apne mustaqbil ka faisla karne ka haq dilane ke liye moassir kirdar ada kare.
Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan











