رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 18° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid
Safha-e-Awwal› Balochistan ›Musakhel

Chief Minister Sarfraz Bugti se All Parties Musakhel ke wafd ki mulaqat: Rawan saal Musakhel ki taraqqi par khusoosi tawajjoh hogi

Chief Minister Sarfraz Bugti se All Parties Musakhel ke wafd ki mulaqat: Rawan saal Musakhel ki taraqqi par khusoosi tawajjoh hogi
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Chief Minister Balochistan o Chief of Bugti Mir Sarfraz Bugti se All Parties Musakhel ke aik aala satah numainda wafd ne Chief of Ghurshin Sardar Syed Asad Zaman Ghurshin ki qayadat mein mulaqat ki.

Wafd mein sabiq Deputy Speaker Balochistan Assembly Sardar Babar Khan Musakhel, sabiq soobai wazir Maulana Ghulam Sarwar, Union Council Indarpar aur Union Council Rarasham ke numainda’on samet mukhtalif qabaili amaidin aur siyasi rehnuma shamil the.

Wafd ne zila Musakhel ko darpesh awami, intizami aur taraqqiati masail se Chief Minister ko tafseel se agah kiya aur zila ki taraqqi, buniyadi sahuliyat ki faraham, muwasalati dhanche ki behtari aur deegar awami falahi mansobon se mutaliq apni tajaweez pesh kin.

Pasmanda Azla ko taraqqi ke dhare mein lana awleen tarjeeh

Chief Minister Mir Sarfraz Bugti ne wafd ki tajaweez aur sifarishat ko baghor suna aur yaqeen dehani karai ke hukumat Balochistan soobe ke tamam Azla mein yaksan aur mutawazin taraqqi ke vision par amal pera hai. Unhon ne kaha ke awami numainda’on, qabaili amaidin aur maqami qayadat se musalsal mushawarat ke zariye taraqqiati mansobon ko zyada muassir aur awami zarooriyat se hum aahang banaya ja raha hai taake door daraz aur pasmanda ilaqon ke awam bhi taraqqi ke samraat se bharpoor istifada kar saken.

Chief Minister ne kaha ke hukumat ki awleen tarjeeh Balochistan ke pasmanda Azla ko qaumi taraqqi ke dhare mein shamil karna hai, aur dastiyab wasail ko muassir andaz mein barooye kaar late hue marhala war tamam pasmanda ilaqon ki taraqqi yaqeeni banai jayegi. Unhon ne bataya ke guzishta maali saal zila Washuk ke liye khusoosi taraqqiati package diya gaya tha, jabke rawan saal hukumat ki khusoosi tawajjoh soobe ke deegar pasmanda Azla ke sath sath Musakhel ki taraqqi aur awami falah o behbood par markooz hogi.

Mir Sarfraz Bugti ne kaha ke Balochistan ke tamam qabail aur awam hamare apne hain, aur hukumat bila imtiyaz har ilaqe ki taraqqi, khushhali aur awam ke miyar-e-zindagi mein behtari ke liye amali iqdamat jari rakhe hue hai. Unhon ne is azm ka aada kiya ke soobe ke kisi bhi zila ya ilaqe ko taraqqi ke safar mein peechay nahin chora jayega.

Mulaqat ke moqe par soobai wazir-e-dakhila Mir Ziaullah Langove, Principal Secretary Chief Minister Imran Zarkoon aur Staff Officer Syed Ahmad Shah Ghurshin bhi mojood the.

Wazir-e-aala Balochistan o Chief of Bugti Mir Sarfraz Bugti se All Parties Musakhel ka numainda wafd Chief of Ghurshin Sardar Syed Asad Zaman Ghurshin ki qayadat mein mulaqat kar raha hai. Jis mein Union Council Indarpara aur Rarasham ke numainde bhi mojood hain