Chief Minister Sarfraz Bugti ki Trauma Centre Quetta mein Pir Ali Zai hamle ke zakhmiyon ki iyadat

Quetta: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti ne Benazir Bhutto Emergency Response Trauma Centre Quetta ka daura kiya, jahan unhon ne Qila Abdullah ke ilaqe Pir Ali Zai mein dehshat gardon ke hamle ke dauran zakhmi hone wale afrad ki iyadat ki aur un ki jald sehatyabi ke liye naik khwahishat ka izhar kiya.
Chief Minister ne dehshat gardon ka bahaduri se muqabla karne par maqami afrad ke hausle, himmat aur jurat ko sarahte hue un ke azm ko khiraj-e-tahseen pesh kiya.
Is moqe par Trauma Centre ke Managing Director Malik Kamran Khan Kasi ne Chief Minister ko zakhmi afrad aur Trauma Centre mein zer-e-ilaj deegar mareezon ko faraham ki jane wali tibbi sahuliyat ke bare mein tafseeli briefing di. Special Secretary Mehkama Sehat Shehak Baloch bhi is moqe par maujood the.
Chief Minister ne Trauma Centre ki tibbi khidmat aur hangami halat mein mareezon ko ilaj muajle ki sahuliyat faraham karne ke iqdamat par itminan ka izhar kiya, aur zakhmiyon ki nigahdasht aur ilaj muajle ke amal ka jaiza lete hue mareezon ko miyari tibbi sahuliyat ki faraham ki ahmiyat par zor diya.


Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











