Chaman: Polio muhim mein shaheed police ahlkar Nizamuddin ke ahl-e-khana ko 10 lakh rupay ka imdadi cheque

Chaman: Chand roz qabl Polio muhim ke dauran dehshat gardon ki firing se shaheed hone wale police ahlkar Nizamuddin ke ahl-e-khana ko SP Chaman Aitzaz Arif aur ADC Chaman Fida Ahmed Baloch ne 10 lakh rupay maliyat ka imdadi cheque pesh kiya.
Is mauqe par Additional SP Chaman, ADC Chaman aur mahkama insidad-e-Polio ke afsaran ne shaheed ahlkar ki khidmat aur qurbani ko khiraj-e-aqeedat pesh kiya.
Afsaran ne kaha ke shaheed Nizamuddin ne Polio muhim ke dauran faraiz ki anjam dehi karte hue jaan ka nazrana pesh kiya, aur unki qurbani ko hamesha qadr o ehteram se yaad rakha jayega. Zila intizamia aur mutaalliqa idaron ne shaheed ke ahl-e-khana ke sath mukammal hamdardi aur taawun ke azm ka izhar kiya.
Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan











