رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 14° Saaf 21° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

B-Tevta aur NAVTTC ka Balochistan ke naujawanon ko khaleeji mumalik mein rozgar ke liye fanni tarbiyat dene par ittefaq

B-Tevta aur NAVTTC ka Balochistan ke naujawanon ko khaleeji mumalik mein rozgar ke liye fanni tarbiyat dene par ittefaq
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Balochistan Technical Education and Vocational Training Authority (B-TEVTA) aur National Vocational and Technical Training Commission (NAVTTC) ne soobe ke naujawanon ko jadeed fanni o technical tarbiyat de kar International satah par rozgar ke qabil banane ke liye bahami taawun barhane ka faisla kiya hai. Is azm ka aadah MD B-Tevta Abdul Kabir Khan Zarkoon aur DG NAVTTC Dr Hussain Bakhsh Magsi ki mulaqat mein kiya gaya.

Mulaqat mein Balochistan ke zyada se zyada naujawanon ko hunarmand banane, soobe bhar ke fanni tarbiyati markaz ko jadeed machinery aur aalaat ki faraahmi aur khaleeji (GCC) o deegar ghair mulki mandiyon mein hunarmand afradi quwwat ki barhti hui talab poori karne par tafseeli tabadla-e-khayal hua. Faisla kiya gaya ke khaleeji mumalik aur duniya bhar mein rozgar ke mawaqe se faida uthane ke liye Balochistan ke naujawanon ko tarjeehi bunyadon par aala fanni tarbiyat aur rozgar ki faraahmi mein ahmiyat di jayegi.

Dono ohdedaron ne kaha ke yeh iqdamaat Prime Minister Pakistan Mian Shehbaz Sharif aur Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti ke us vision ka hissa hain jis ka maqsad soobe ke naujawanon ko jadeed Technology aur science uloom o funoon se lais karna hai, taake woh duniya ke har kone mein Balochistan keba-salahiyat aur hunarmand numainadon ke taur par ja saken aur mulk o soobe ki iqtisadi taraqqi mein faal kirdar ada karen.

Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan

Mauzuaat: