Assistant Commissioner Thal ka Duki mein transport adon aur bankon ka daura; zaid kiraya wasooli par karrawai ka intibah

Duki: Deputy Commissioner Duki Fazal ur Rehman Kabdani ki hidayat par Assistant Commissioner Thal Abdul Salam Shahwani ne tehsil Duki mein mukhtalif transport adon aur bankon ka daura kar ke awami sahulyat, public transport ke kirayon aur ATM services ka jaiza liya.
Unhon ne mukhtalif routes ki public transport ke kirayon, kiraya-namon aur musafiron ki sahulyat ka muayina kiya aur transporters ko hidayat ki ke musafiron se sirf sarkari tor par tay shuda kiraya wasool kiya jaye aur kisi soorat zaid kiraya na liya jaye. Unhon ne adon par safai, nazm o zabt aur kiraya-namon ki numayan aweezan karne ki hidayat bhi ki.
Baad azan Assistant Commissioner ne bankon ka daura kar ke ATM machinon ki faaliyat aur raqam ke husool ki sahulyat ka muayina kiya aur bank intizamia ko hidayat ki ke ATM machinen har mumkin had tak faal rakhi jayen taake tankhwah dar tabqe aur deegar sarifin ko mushkilat na hon.
Abdul Salam Shahwani ne kaha ke awami sahulyat mein ghaflat aur kotahi kisi soorat bardasht nahin ki jaye gi aur zilai intizamia muqarrara kirayon par safri sahulyat aur bila tatul banking services yaqeeni banane ke liye iqdamat jari rakhe gi.
Tasweer: bashukriya DGPR Balochistan











