رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 20° Saaf 22° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Assistant Commissioner Ormara Dr Mah Noor Barkat ka Basol aur Hud ke schools aur markaz-e-sehat ka achanak daura

Assistant Commissioner Ormara Dr Mah Noor Barkat ka Basol aur Hud ke schools aur markaz-e-sehat ka achanak daura
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Ormara: Assistant Commissioner Dr Mah Noor Barkat ne Ormara ke door uftada ilaqon Basol aur Hud ka achanak daura kiya, jahan unhon ne Government Boys Middle Schools aur bunyadi markaz-e-sehat mein hazri, sahuliyat aur service delivery ka mauqe par jaiza liya.

Assistant Commissioner ne Government Boys Middle School Basol aur Hud mein asatiza o talaba ki hazri, tadrisi amal, taleemi mahol, imaraton ki haalat, safai suthrai aur bunyadi sahuliyat ka muayena kiya.

Bunyadi markaz-e-sehat mein unhon ne tibbi amle ki hazri, adviyat ki dastiyabi, safai aur awam ko faraham ki jane wali tibbi sahuliyat ka jaiza liya aur awami khidmat ke miyar mein behtari aur bunyadi sahuliyat ki barwaqt faraahmi ke liye zaroori hidayat jari kin. Unhon ne wazeh kiya ke sarkari idaron mein dastiyab wasail ko awami mufad mein muassir andaz mein istemal kiya jaye.

Wazeh rahe ke Basol aur Hud Ormara ke door uftada ilaqe hain, jahan sarkari idaron ki karkardagi aur awam ko faraham ki jane wali bunyadi taleemi o tibbi sahuliyat ka jaiza lene ke liye Assistant Commissioner ne mauqe par pahunch kar surat-e-haal dekhi.

Ormara: Assistant Commissioner Dr Mah Noor Barkat Government Boys Middle School Basol aur Hud ke daure ke mauqe par hazri register check kar rahi hain
Ormara: Assistant Commissioner Dr Mah Noor Barkat Government Boys Middle School Basol aur Hud ke daure ke mauqe par hazri register check kar rahi hain
Ormara: Assistant Commissioner Dr Mah Noor Barkat bunyadi markaz-e-sehat Basol aur Hud mein tibbi sahuliyat ka muayena aur jaiza le rahi hain
Ormara: Assistant Commissioner Dr Mah Noor Barkat bunyadi markaz-e-sehat Basol aur Hud mein tibbi sahuliyat ka muayena aur jaiza le rahi hain
Ormara: Assistant Commissioner Dr Mah Noor Barkat bunyadi markaz-e-sehat Basol aur Hud ke mukhtalif shobajat ka muayena aur jaiza le rahi hain
Ormara: Assistant Commissioner Dr Mah Noor Barkat bunyadi markaz-e-sehat Basol aur Hud ke mukhtalif shobajat ka muayena aur jaiza le rahi hain

Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan

Mauzuaat: