Wizarat-e-Itelaat ne Pakistani sarzameen se Iran ke khilaf karwai ka dawa mustarad kar diya

Islamabad: Wizarat-e-Itelaat o Nashriyat ne Pakistani sarzameen se Iran ke khilaf America ki fauji karwai ke dawe ko bebunyad aur mangharat qarar de kar mustarad kar diya hai.
Wizarat ke mutabiq shumali America se talluq rakhne wale ek Social Media account par America ki bahriya ki janib se Pakistan se Iran par karwai ka dawa kiya gaya, jo sarasar bebunyad hai.
Wizarat-e-Itelaat ne apne bayan mein kaha ke is tarah ke jhoote dawe phailana ghalat fehmiyon aur intishar ko hawa dene ke wasee tar agenday ka hissa hai.
Wizarat ka kehna hai ke aisi Social Media posts kisi bhi sanjeeda mubassir ki tawajjoh ke laiq nahin. In bebunyad khabron ko propaganda qarar de kar usi andaz mein un se nimatna chahiye.











