Senate mein maqbooza Kashmir par Bharati ghasibana qabze ke khilaf qarardad mutafiqa manzoor

Islamabad: Senate ne maqbooza Kashmir par Bharati ghasibana qabze ke khilaf qarardad mutafiqa taur par manzoor kar li. Senate ka ijlas chairman Senate ki zair-e-sadarat mun’aqid hua.
Ijlas mein wafaqi wazir bara-e-umoor-e-Kashmir Amir Muqam ne qarardad pesh ki. Qarardad mein kaha gaya ke 27 October ko Bharat ne Kashmir par ghasibana qabza kiya. Aiwan Bharat ke maqbooza Kashmir par jabri qabze ki muzammat karta hai aur is qabze ko najaiz qarar deta hai.
Qarardad mein Kashmiri awam ke apne mustaqbil ke faisle ke haq ki hamayat ki gayi. Aiwan ne Aqwam-e-Muttahida se mutalba kiya ke woh Kashmir par apni qarardadon par amal daramad karaye, aur hukumat-e-Pakistan se Kashmiriyon ki safarti o akhlaqi hamayat jari rakhne ka mutalba kiya gaya. Baadazan aiwan ne Kashmir ke haq mein qarardad mutafiqa taur par manzoor kar li.
Ijlas ke dauran Sherry Rehman aur Nasir Butt mein talkh kalami hui, jis par Sherry Rehman aiwan se chali gayin. Un ke baad PPP ke araakin bhi aiwan se nikal gaye.
Senator Azam Khan Swati ne aiwan mein kaha ke woh aaj General (r) Abdul Waheed Kakar ka janaza parh kar aaye hain. Un ke bare mein suna hai ke woh bade usool pasand insan the. Unhon ne kaha ke mulk aaeen aur qanoon ke mutabiq chalega to aage barhega.
Ijlas mein marhoom General Abdul Waheed Kakar ki rooh ke isal-e-sawab ke liye dua karai gayi. Is waqt aiwan mein hukumati benchon par sirf do araakin baithe hue the.











