رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 17° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javed Ahmed · Editor: Kamran Javed

Social Media par gardish karne wale cyber security se mutaliq notification ki haqeeqat samne aa gayi

Social Media par gardish karne wale cyber security se mutaliq notification ki haqeeqat samne aa gayi
File photo: Pakistan Telecommunication Authority ki imarat — Tasveer: Bashukriya youtube.com

Pakistan Telecommunication Authority (PTA) ne Social Media par zer-e-gardish cyber security se mutaliq notification ko jaali aur gumrah kun qarar de diya.

PTA ke mutabiq Pakistan Telecommunication Authority ki janib se aisa koi alert jari nahin kiya gaya, Social Media par gardish karne wala notification jhoota aur gumrah kun hai.

Jaali notification mein dawa kiya gaya hai ke aik landline number se call attend karne par mobile data aur accounts hack ho sakte hain, call ke dauran paanch se saat second mein sarif ka data chori kiya ja sakta hai.

PTA ne awam se kaha hai ke Social Media par gardish karne wali ghair musaddaqa maloomat par bharosa na karein aur jaali o ghair musaddaqa maloomat ko Social Media par aage share karne se gurez karein.

PTA ke mutabiq musaddaqa maloomat aur alerts ke liye awam PTA ke official Social Media accounts ko follow karein.

Mauzuaat: