Shanghai Taawun Tanzeem paedar iqtisadi numu mein qaidana kirdar ada kar sakti hai: Ishaq Dar ka Dushanbe mein khitab

Dushanbe: Naib wazir-e-azam Ishaq Dar ne kaha hai ke Shanghai Taawun Tanzeem digital tabdeeli aur paedar iqtisadi numu mein qaidana kirdar ada kar sakti hai. Unhon ne kaha ke Pakistan zaraat, kan kani, maadniyat aur IT ke shobon mein sarmaya kari barhane ka haami hai.
Shanghai Taawun Tanzeem ke ijlas se khitab mein Ishaq Dar ne kaha ke CPEC SCO sharakat daron ko maashi inzimam ke mushtarka safar mein tezi lane ke mauqe faraham karta hai. Un ke mutabiq tawanai mein taawun aur aalami maloomati salamati ko SCO ka aham hissa banna chahiye.
Naib wazir-e-azam ne bataya ke wazir-e-azam Muhammad Shehbaz Sharif ne Shanghai Taawun Tanzeem ki Pakistani sadarat ka vision pesh kiya. Unhon ne kaha ke tanzeem bahmi aitemad aur tanawwu ke ehtiram ke usoolon par qaim hai, aur Pakistan khitte mein rabton ke farogh ke liye SCO ke saath mil kar kaam karega.
Ishaq Dar ne kaha ke Pakistan Shanghai Taawun Tanzeem ke agenda par amal daramad ke liye purazm hai. SCO ka khitta aalami iqtisadi taraqqi ka markaz banne ki salahiyat rakhta hai, aur tanzeem ne tijarat, bunyadi dhanche, saqafat aur jiddat ke shobon tak apna daira-e-kaar wasee kiya hai.
Unhon ne kaha ke Shanghai Taawun Tanzeem mein Pakistan ki shamooliyat Shanghai spirit se hamari wabastagi ki akkaas hai, jabke tawanai aur transport ke shobon mein hadafi sarmaya kari maashi inzimam ke liye aham hai.











