رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Russia kabhi Europe ke peechhe pabandiyan uthwane ke liye nahin bhagega: Sergey Lavrov

Russia kabhi Europe ke peechhe pabandiyan uthwane ke liye nahin bhagega: Sergey Lavrov

Sergey Lavrov ne Vladivostok mein Eastern Economic Forum ke moqe par Znanie society ke zer-e-ehtimam lecture se khitab karte hue kaha ke Russia ne kabhi Europe ke sath deewarein khari nahin kin aur na khud ko is se alag kiya, balke yeh faisla European Union ne khud kiya.

Un ka kehna tha ke Europe ne yeh samjha ke guzishta barson ke dauran taawun Russia ke liye itna zaroori tha ke Moscow pabandiyan uthwane ke liye wapas dauray ga, mafi mange ga aur kahe ga ke sab kuchh bhool kar purane taalluqat bahal kar diye jayen, lekin aisa nahin hoga.

Lavrov ne kaha ke Russia ko apni qaumi khuddari par fakhr hai aur use kisi mulk ya group ki khair-sigali ki zarurat nahin.

Unhon ne kaha ke Russia ke paas kafi tadad mein aise dost aur sharakatdar mojood hain jo nek niyyati aur bahami ehtiram ki bunyad par taawun ke liye tayyar hain.

Russi wazir-e-kharija ne Europe par tanqeed karte hue kaha ke mojooda European qiyadat Russia ke sath nek niyyati ki bunyad par taawun ke liye tayyar nahin aur is waqt aisa karne ki salahiyat bhi nahin rakhti, Russia apni kharija aur iqtisadi policy ko un mumalik ke sath aage barhata rahega jo musawi, bahami faide aur ehtiram ki bunyad par taalluqat qaim karna chahte hain.

Gyarahwan Eastern Economic Forum yaktum se 4 September tak Vladivostok mein Far Eastern Federal University ke campus mein jari hai, rawan saal forum ka markazi mauzu “Daur-e-Mashriq, awam ki falah ke liye taraqqi” hai.

Mauzuaat: