Rashid Minhas Shaheed ne watan ke difa aur qaumi waqar ke liye jaan qurban ki: Wazir-e-azam


Islamabad: Wazir-e-azam Muhammad Shehbaz Sharif ne Pilot Officer Rashid Minhas Shaheed (Nishan-e-Haider) ki 55 wein barsi par unhein khiraj-e-aqeedat pesh karte hue kaha hai ke un ki azeem qurbani jurrat, hubb-ul-watni aur farz shinasi ki aisi misal hai jo kabhi mand nahin paregi.
Jumeraat ko jari apne paigham mein Wazir-e-azam ne kaha ke Rashid Minhas Shaheed ne watan ke difa aur qaumi waqar ke liye apni jaan qurban ki, aur un ki be misal bahaduri qaum aur Afwaj-e-Pakistan ke liye hamesha mash-al-e-raah rahegi.
Wazir-e-azam ne shaheed ke darajat ki bulandi ke liye dua ki aur kaha ke qaum apne shuhada ki qurbaniyon ko hamesha yaad rakhegi. Unhon ne Pakistan ki khudmukhtari, ilaqai salamiyat aur qaumi mufadat ke tahaffuz ke azm ka bhi aadah kiya.











