رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah ki 78 veen barsi aaj aqeedat o ehtram se manayi ja rahi hai

Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah ki 78 veen barsi aaj aqeedat o ehtram se manayi ja rahi hai

Bar-e-saghir ke musalmanon ko ek azad aur khud mukhtar watan ki naimat se sarfaraz karne wale azeem quaid ko aaj poora mulk aqeedat o ehtram se yaad kar raha hai, aaj ka din ghamgeen magar azm ki tajdeed ka din hai.

25 December 1876 ko Karachi mein paida hone wale Muhammad Ali Jinnah ne apni siyasi baseerat se bar-e-saghir ke musalmanon ke liye ek alag watan ka khwab sach kar dikhaya, shadeed alalat ke bawujood unhon ne din raat kaam kiya aur qiyam-e-Pakistan ke baad Karachi ko mulk ka pehla daral-hukumat muntakhab kiya.

Bani-e-Pakistan Quaid-e-Azam ki bemisal qiyadat, tadabbur aur usool pasandi ki badaulat duniya ke naqshe par Pakistan wujood mein aaya, qiyam-e-Pakistan ke mahaz 13 maah baad 11 September 1948 ko azeem quaid 71 baras ki umr mein intiqal kar gaye the.

Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah ka diya hua zarreen usool ittehad, imaan, aur tanzeem sirf ek nara nahin balke mojooda daur ke tamam challenges se nimatne ka wahid hal hai, aaj ka din hamein yaad dilata hai ke agar hum ek mazboot, mustahkam aur ba-waqar Pakistan chahte hain to hamein apne quaid ke nazriyaat par sidq-e-dil se amal karna hoga.

Baba-e-qaum ka paigham hamein ittehad aur mehnat ki hidayat karta hai taake Pakistan ko ek ba-waqar aur mazboot riyasat banaya ja sake.

Mauzuaat: