PTI ko Islamabad aakar aman kharab karne ki ijazat nahin denge: Attaullah Tarar

Nijee TV se guftagu karte hue wazir-e-itlaat Attaullah Tarar ne kaha ke hukumat Islamabad ki Aman o Aman ki surat-e-haal kharab karne walon ko bharpoor tareeqe se rokegi.
Wazir-e-itlaat ne kaha ke aaj tak PTI ko pur-aman ihtijaj karte nahin dekha, yeh hosh ke nakhun lein warna un ke saath woh hoga jo yeh hamesha yaad rakhenge.
Attaullah Tarar ka kehna hai ke Imran Khan ki behnon ko musaddaqa itlaa par giraftar kiya gaya ke woh Aman o Aman kharab karengi, PTI mein baat karein to kis se karein? Un ke han in-charge aur faisla saaz kaun hai?
Unhon ne mazeed kaha ke Barrister Gohar farigh hain, PTI mein un ki koi nahin sunta, yeh jo do teen bande kehte hain baat kar lein, un ke pallay hai kya? Un se mazakrat ka koi jawaz aur faida nahin, un ki zaban par aitbaar











