Pakistan mein sirf bureaucracy ehtesab se mehfooz aur naqabil-e-girift rahi: Khawaja Asif

Khawaja Asif ne kaha ke Pakistaniyon ko shayad hi ehsas ho ke mulk par bureaucrats bhi hukmarani karte rahe hain, sabiq governor-general Ghulam Muhammad bureaucrat the, sabiq wazir-e-azam Muhammad Ali bhi bureaucrat the, sabiq sadoor Iskander Mirza aur Ghulam Ishaq Khan bhi bureaucrats the, yeh sab kuch aise waqt mein hua jab bazahir iqtidar siyasat danon ke paas tha.
Unhon ne mazeed kaha ke bureaucrats ko koi mawrid-e-ilzam nahin thehraata, siyasatdanon ki na-ahli aur bahmi ikhtilafat ne bureaucracy ko jagah faraham ki, siyasatdan apni islah karein to bureaucracy mein bhi khud ba khud islah aur ehtesab aayega.
Mauzuaat:Khawaja Asif











