Opposition ki National Assembly mein tehreek-e-iltawa jama, Sohail Afridi ki mobina hirasat par bahas ka mutalba

Islamabad: Opposition ne National Assembly mein Sohail Afridi ki mobina hirasat ka muamla uthate hue tehreek-e-iltawa speaker ko jama karwa di.
Pakistan Tehreek-e-Insaf ke rehnuma aur opposition ke chief whip Amir Dogar ne tehreek-e-iltawa jama karwai, jis mein wazir-e-aala Khyber Pakhtunkhwa Sohail Afridi aur speaker soobai assembly Babar Saleem Swati ki mobina hirasat par bahas ki darkhwast ki gayi hai.
Tehreek mein chhe arkan National Assembly Amjad Ali Khan, Junaid Akbar, Fazal Muhammad Khan, Zubair Khan, Haji Imtiaz Ahmed Chaudhry aur Naseem Ali Shah ki hirasat par bhi bahas ki istidaa ki gayi hai.
Tehreek-e-iltawa ka matan
Tehreek mein kaha gaya hai ke muntakhib numainDon ki mobina hirasat jamhoori idaron ke umoor aur awami numainDagi se mutalliq sangeen khadshat paida karti hai. Muntakhib numainDon ke aini huqooq aur parliamentary istehqaq ke tahaffuz ka muamla National Assembly mein uthaya jaye.
Opposition ne mobina hirasaton ke halat o waqiat par aiwan mein fori bahas ka mutalba kiya aur is ke liye mamool ka agenda muattal karne ki darkhwast ki. Malik Muhammad Amir Dogar ne National Assembly ke qawaid o zawabit 2007 ke rule 109 aur 110 ke tehat tehreek jama karai.
Achakzai ka khitab
Doosri janib National Assembly mein opposition leader Mahmood Khan Achakzai ne arkan ki adam maujoodgi, production orders aur Khyber Pakhtunkhwa ke wazir-e-aala se mutalliq sawalat uthate hue hukumat ko kari tanqeed ka nishana banaya.
Unhon ne kaha ke hamein logon ko tang karne ka koi shauq nahin, aap ne ek soobe ki hukumat khatam kar di, ab bataya jaye ke Khyber Pakhtunkhwa ka wazir-e-aala aur hamare arkan assembly kahan ghayab hain, Sohail Afridi samet deegar log zinda bhi hain ya nahin.
Nukta aitraz par unhon ne daawa kiya ke Junaid Akbar, Naseem Shah, Adil Bazai aur Uzair Khan samet mutaddid arkan National Assembly mein maujood nahin. Un ka kehna tha ke kisi rukn ne badtareen jurm bhi kiya ho to us ke production orders hasil karna speaker ki zimmedari hai.
Unhon ne kaha ke woh apne arkan ko aiwan mein apni aankhon se dekhna chahte hain aur unhein bolne ka mauqa diya jaye. Speaker se mukhatib ho kar unhon ne kaha ke hamein aap se kuch nahin chahiye, sirf azadana aur munsifana intikhabat karaye jayen.
Mahmood Achakzai ne kaha ke assembly mein kahi gayi baat par kisi ko giraftar nahin kiya jana chahiye aur na hi karrawai honi chahiye, agar arkan ko bolne ka mauqa hi nahin diya jayega to parliament ka maqsad kya reh jayega.
Tareekhi misaal dete hue unhon ne kaha ke 600 saal pehle ek badshah ko paanch arkan ki zaroorat thi to speaker ne us ki darkhwast ka ehtiram kiya. Unhon ne sawal uthaya ke aaj apne arkan ki maujoodgi aur un ke huqooq ke liye awaz uthane par unhein kyun nahin suna ja raha.
Unhon ne kaha ke aap jo qanoon banana chahte hain banayen, lekin is ke nataij bhi bhugatna honge. Unhon ne mutalba kiya ke aiwan mein maujood Sanaullah Mastikhel aur Kundi samet deegar arkan ko bhi baat karne ka mauqa diya jaye.











