رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Mohsin Naqvi ki sarbarah Pasdaran-e-Inqilab se mulaqat, Mashriq-e-Wusta ki soorat-e-haal par guftagu

Mohsin Naqvi ki sarbarah Pasdaran-e-Inqilab se mulaqat, Mashriq-e-Wusta ki soorat-e-haal par guftagu

Tarjuman Wazarat-e-Dakhila ke mutabiq Mohsin Naqvi sarkari daure par Tehran mein mojood hain, jahan unki Irani qayadat aur security hukkam se mulaqaton ka silsila jari hai.

Tarjuman ke mutabiq mulaqat mein Mohsin Naqvi aur General Ahmad Vahidi ne Mashriq-e-Wusta ki soorat-e-haal samet bahami dilchaspi ke umoor par guftagu ki.

Is se qabl wafaqi wazir-e-dakhila ne apne Irani hum mansab Iskandar Momeni se bhi tafseeli mulaqat ki, jis mein do tarfa taluqat, mukhtalif shobon mein taawun aur khitte ki mujmui soorat-e-haal par ghaur kiya gaya.