Mawaqe milein to pasmanda ilaqon ke nojawan numaya maqam hasil kar sakte hain: Ahsan Iqbal

Narowal: Wafaqi wazir planning, development o khusoosi iqdamat Ahsan Iqbal ne kaha hai ke mawaqe milein to pasmanda ilaqon ke nojawan qaumi satah par numaya maqam hasil kar sakte hain.
Islamabad Science Festival mein mulk bhar ki jamiaat ke muqable mein University of Narowal ke talib-e-ilm Samar Abbas ne pehli position hasil ki. Is par apne bayan mein Ahsan Iqbal ne kaha ke yeh khabar un ke liye behad khushi aur taskeen ka baais hai. Unhon ne Samar Abbas, un ke walidain, asatiza aur poori university ko dil ki gehraiyon se mubarak baad pesh ki.
Unhon ne kaha: Jab hum ne Narowal mein aala Taleem ke idaron ka khwab dekha tha to nigahon mein yahi manzil thi ke hamare bachon ko apni salahiyatein manwane ke liye apne shehar aur apne khwabon mein se kisi ek ko chhorna na pare. Aaj Samar Abbas ki kamyabi mein mujhe is khwab ki ek khoobsurat tabeer nazar aati hai.
Un ke mutabiq Samar Abbas ne ek inaam ke sath bohat se nojawanon ke dilon mein yeh yaqeen bhi jagaya hai ke woh bhi aage barh sakte hain. Aap ki mehnat ne sabit kiya hai ke mawaqe milein to Narowal hi nahin har pasmanda ilaqe ka nojawan qaumi satah par numaya maqam hasil kar sakta hai.
Ahsan Iqbal ne dua ki ke un ka shauq-e-justujoo mazeed paroan charhe aur woh apne ilm, tehqeeq aur ijadat se Pakistan aur insaniyat ki khidmat karein. Unhon ne kaha: Sawal poochte rahiye, tajurbe karte rahiye aur barre khwab dekhte rahiye.
Unhon ne mazeed kaha ke aap jaise nojawan hi Narowal ke aman, Taleem aur taraqqi ke safar ko Pakistan ki uraan se jorte hain, hamein aap par fakhr hai.











