رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Mausamiyati ahdaf ke samraat awam aur maqami communities tak pahunchne chahiye, wazir-e-khazana

Mausamiyati ahdaf ke samraat awam aur maqami communities tak pahunchne chahiye, wazir-e-khazana

New York mein mausamiyati tabdeeli se mutaliq conference se khitab mein wazir-e-khazana Muhammad Aurangzeb ne kaha ke mausamiyati mansoobon ke liye maali wasail tak rasai bhi zaroori hai, mausamiyati ahdaf ke samraat awam aur maqami communities tak pahunchne chahiye.

Wazir-e-khazana ne kaha ke mausamiyati mansoobon ke liye maali wasail tak rasai bhi zaroori hai, mulki sath par mansoobon ko amali shakl dene ki salahiyat barhana hogi, iqdam ko sirf baat cheet tak mehdood nahin rehna chahiye, amali iqdamat par ittefaq-e-raye paida karna hoga.

Unhon ne kaha ke mausamiyati mansoobon ke liye mulki aur aalami wasail mutaharrik kar rahe hain, International maaliyati idaron, mausamiyati funds se wasail hasil karne ki koshishein jari hain, idaron ke darmiyan rabte ka fuqdan mausamiyati mansoobon mein rukawat hai, sarmaya kari ke qabil mansoobon ki kami bhi bari rukawat hai, 2022 ke selab ke baad baaz aalami maali wasail mansoobon ki kami ke baais istemal na ho sake.