Kharan: Naseer Kubdani Lizanki Diwan ke wafd ki Additional Commissioner Rakhshan Division Zafar Goya se mulaqat
Kharan: Naseer Kubdani Lizanki Diwan Kharan ke wafd ne Additional Commissioner Rakhshan Division Zafar Goya se un ke office mein mulaqat ki. Mulaqat ka maqsad unhein Kharan mein taynati par mubarakbad dena aur ilaqe mein adabi o ilmi mahol ko mazeed faal banane par tabadla-e-khayal karna tha.

Wafd ki qiyadat General Secretary Shakoor Zaid ne ki, jabke deegar arakin mein Naib Sadr Safar Khan Raskoi, Qayyum Sadag, Habib Danish, Jalal Firaq, Muhammad Essa Muhammad Hasni, Shahzad Saleem, Mahmood Pirak aur Najeeb Baloch shamil the.
Wafd ne umeed zahir ki ke Zafar Goya ki taynati se Kharan mein ilm o adab, zaban aur saqafat ke farogh ko naya tahharruk milega aur adeebon, shairon aur column nigaron ki hausla afzai ke liye hukumati satah par musbat iqdamat kiye jayenge. Wafd ne unhein Naseer Kubdani Lizanki Diwan Academy Kharan ke daure ki bazabta dawat bhi di.
Additional Commissioner Zafar Goya ne wafd ka shukriya ada karte hue kaha ke adabi aur saqafati sargarmiyan kisi bhi muashre ki musbat qadron ki ameen hoti hain aur maqami zaban o adab ke farogh ke liye har mumkin taawun faraham kiya jayega. Mulaqat mein Lizanki Diwan ki shaya kardah miyari kutub ka ek set bataur tohfa unhein pesh kiya gaya.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











