Kalaadam BLA ki kam umar bachchiyon ko warghala kar khudkush hamla awar banane ki koshish nakaam

Wazir-e-dakhila Balochistan Mir Zia Langove ne daawa kiya hai ke 16 sala Zainab aur us ki 12 sala cousin Fatima ko kalaadam Baloch Liberation Army ne apne maqasid aur mubayyana propaganda ke liye istemal kiya, jabke Zainab ke shohar ko bhi tanzeem ne qatl kiya.
Press conference karte hue Mir Zia Langove ne kaha ke Balochistan mein dehshatgard khawateen aur bachchiyon ko bhi apne maqasid ke liye istemal kar rahe hain aur is amal se Baloch muashre ki riwayat aur khawateen ke ehtaram ko nuqsan pahunchaya ja raha hai.
Unhon ne bataya ke Zainab junubi Balochistan ki rehaishi hai aur us ke 8 se 10 rishtedaron ko BLA ne mukhtalif auqat mein qatl kiya, Zainab ki 16 saal ki umar mein Saif nami ek pur-amn shehri se shadi hui thi.
Wazir-e-dakhila ne bataya ke BLA ke ek maqami commander ne Saif ko tanzeem ke maqasid ke liye istemal karne ki koshish ki, is maqsad ke liye commander ne kisi zariye se Saif ka mobile number hasil kiya aur us se rabta kar ke apne sath kaam karne par amada karne ki koshish ki, taham nakami ke baad mubayyana taur par Saif ko qatl kar diya gaya.
Mir Zia Langove ke mutabiq Saif ki laash, us ka mobile phone aur digar saman ghar pahunchaya gaya, taham us ke baad mazkura commander ne Zainab se rabta kiya aur use yeh baawar karane ki koshish ki ke us ke shohar ko riyasti idaron ne qatl kiya hai.
Wazir-e-dakhila ne kaha ke yehi woh bayania hai jis ke zariye dehshatgard naujawanon ko gumrah karne aur apne maqasid ke liye istemal karne ki koshish karte hain, khawateen aur bachchiyon ko pahadon par le ja kar musalleh giroohon ke sath rakhne ka amal Baloch riwayat ke manafi hai.
Mir Zia Langove ne kaha ke Baloch muashre mein khawateen, behnon aur betiyon ke ehtaram ko hamesha ahmiyat hasil rahi hai, taham dehshatgard giroh mubayyana taur par khawateen aur kam umar bachchiyon ko apne maqasid ke liye istemal kar ke in riwayat ko nuqsan pahuncha rahe hain.
Unhon ne bairoon-e-mulk muqeem Baloch afraad se sawal kiya ke kya woh apni behnon aur betiyon ko kisi namehram mard ke sath pahadon par bhejne aur musalleh giroohon ke sath rehne ki ijazat denge.
Wazir-e-dakhila ne kaha ke dehshatgard tanzeemen Bharat ke bayanie ke tehat Balochistan mein badamni phailane ki koshish kar rahi hain, Dehshatgardi ki karwaiyon ke liye khawateen aur bachchon ko istemal karna qabil-e-mazammat hai.
Mir Zia Langove ne kaha ke riyasat Dehshatgardi ke khilaf karwaiyan jaari rakhegi aur awam ko gumrah karne ke liye phailaye jane wale bayanie ka bhi muqabla kiya jayega.
Press conference ke douran unhon ne Zainab ko bhi madoo kiya taake woh mubayyana taur par pesh aane wale waqiat ke bare mein apni rudad bayan kar sake.
Zainab ka bayan
Is mauqe par Zainab ne inkishaf kiya ke BLA commander ne mere shohar ke qatl ka ilzam idaron par lagaya, mujhe shohar ke qatl ka badla lene ke liye amada kiya gaya, kam umar Fatima meri cousin aur har waqt mere sath hoti thi, mere sath hone ki wajah se Fatima maqami commander se rabte mein aayi.
Zainab ne bataya ke Fatima ke walid ko bhi BLA ne dehshatgardi ka nishana banaya, Fatima ko meri tarah jazbati bana kar BLA ka hissa banne par razi kiya gaya, hum dono idaron se badla lene ki baton mein aa kar BLA ke pas pahunchin.
Zainab ne mazeed bataya ke hamein 40 roz tak namaloom maqam par rakha gaya, namaloom maqam par maujood logon ne hamein tashaddud ka nishana bhi banaya











