Junaid Akbar ka bayan afra-tafri aur tabahi ke irade ko zahir karta hai: Attaullah Tarar

Samaji rabte ki websites X par apne bayan mein Attaullah Tarar ka kehna tha ke Junaid Akbar aur PTI pur-aman ehtijaj par yaqeen nahin rakhte balke tashaddud aur khoonrezi ka rasta ikhtiyar karna chahte hain.
Unhon ne kaha ke hukumat ki haisiyat se yeh zimmedari hai ke awam ki jaan-o-maal aur rozgar ka tahaffuz yaqeeni banaya jaye.
Mauzuaat:PTI











