Islamabad mein ehtejaj se nimatne ke liye tayyar hain: Mohsin Naqvi

Wafaqi daral-hukumat mein Talal Chaudhry ke hamrah press conference karte hue Mohsin Naqvi ka kehna tha ke Islamabad High Court ka tafseeli faisla aa chuka hai.
Unhon ne kaha ke adalati faisle ke baad koi dhawa nahin bola ja sakta, agar koi Islamabad aaye ga to tauheen-e-adalat ki karrawai karein ge.
Wafaqi wazir-e-dakhila ka kehna tha ke leadership se darkhwast karoon ga apne shehar mein ehtejaj karein, kisi shehar ko band ya kisi soobe par ja kar hamla nahin ho sakta, aik taraf Dehshatgardi barh rahi hai.
Mohsin Naqvi ne kaha ke Social Media par baat ho rahi hai ke makhsoos qabail ke log aa rahe hain, hum shuhada ke janaze utha rahe hain aur yeh log ehtejaj karne aa rahe hain.
Un ka kehna tha ke aaj aman-o-aman ki surat-e-haal par ijlas hua, long march ke liye jitni mehnat kar rahe hain agar itni mehnat Dehshatgardi ke khilaf karein to kamyabi mile gi.
Wafaqi wazir-e-dakhila ne kaha ke hum ne Islamabad ki taraf march ko har surat rokna hai, siyasi jalson, juloosson aur jathon mein farq hota hai.
Mohsin Naqvi ka kehna tha ke wazir-e-aala Khyber Pakhtunkhwa march ke bajaye Dehshatgardi ke khilaf jang par tawajjo dein, aik bhi jaan gayi to zimmedar organizer honge.
Unhon ne kaha ke larai jhagre se koi faida nahin hoga un ka aur mulk ka nuqsan hoga, opposition mein zimmedar log hain umeed hai is faisle ko review karein ge.
Wafaqi wazir-e-dakhila ka kehna tha ke aap ko zeb nahin deta ke aik taraf shuhada ke janaze uthayein, doosri taraf dharnon ki tayyari karein, tamam forces ko bata diya hai ke har mumkin tareeqe se un ko rokein ge.
Mohsin Naqvi ne kaha ke kisi bhi surat badamni nahin phailne dein ge, jawanon ko bata diya aisa nahin hoga ke woh goli chalayein to aap chup baithein, main to mashwara doon ga adalat ka faisla aa chuka hai.
Un ka kehna tha ke un ko sochna chahiye duniya ke is waqt halaat kya hain, maazi mein aslaha ka istemal kiya gaya jis se hamara bohat nuqsan hua











